Hey, want to try making your own Karaoke from any youtube track? Check out some samples on our new beta website Pruthak (which means 'to separate') to split a track into vocals, drums, bass, piano!
गाना / Title: माना की हम - Maana Ke Hum Yaar Nahin
चित्रपट / Film: मेरी प्यारी बिंदू-(Meri Pyari Bindu)
संगीतकार / Music Director: सचिन जिगर-(Sachin Jigar)
गीतकार / Lyricist: कौसर मुनीर-(Kausar Muneer) गायक / Singer(s): परिणिती चोप्रा-(Pariniti Chopra), सोनु निगम-(Sonu Nigam)[माना के हम यार नहीं लो तय है के प्यार नहीं] x 2 फिर भी नज़रें ना तुम मिलाना दिल का ऐतबार नहीं माना के हम यार नहीं.. रास्ते में जो मिलो तो हाथ मिलाने रुक जाना हो.. साथ में कोई हो तुम्हारे दूर से ही तुम मुस्काना [लेकिन मुस्कान हो ऐसी की जिसमे इकरार नहीं] x 2 नज़रों से ना करना तुम बयां वो जिससे इनकार नहीं माना के हम यार नहीं.. फूल जो बंद है पन्नो में तुम उसको धुल बना देना बात छिड़े जो मेरी कहीं तुम उसको भूल बता देना [लेकिन वो भूल हो ऐसी जिससे बेज़ार नहीं] x 2 तू जो सोये तो मेरी तरह इक पल को भी करार नहीं माना की हम यार नहीं..
Maana ke hum yaar nahin lo tay hai ke pyaar nahin maana ke hum yaar nahin lo tay hai ke pyaar nahin phir bhi nazrein na tum milaana dil ka aitbaar nahi maana ke hum yaar nahi.. raaste mein jo milo toh haath milaane ruk jaana ho.. saath mein koi ho tumhare door se hi tum muskaana lekin muskaan ho aisi ki jisme ikraar nahi lekin muskaan ho aisi ki jisme ikraar nahi nazron se na karna tum bayaan woh jise inkaar nahi maana ke hum yaar nahi.. phool jo band hai panno mein tum usko dhool bana dena baat chhide jo meri kahin tum usko bhool bataa dena lekin wo bhool ho aisi jise bezaar nahin lekin wo bhool ho aisi jise bezaar nahin tu jo soye toh meri tarah ik pal ko bhi karaar nahin maana ki hum yaar nahi..
कुछ और सुझाव / Related content: