Hey, want to try making your own Karaoke from any youtube track? Check out some samples on our new beta website Pruthak (which means 'to separate') to split a track into vocals, drums, bass, piano!
गाना / Title: बस एक ही सुर में, एक ही लय में ( Gulzaar recital ) - bas ek hii sur me.n, ek hii lay me.n ##( Gulzaar recital )##
चित्रपट / Film: बोल रे पपिहरा-(Bol Re Papiharaa)
संगीतकार / Music Director:
गीतकार / Lyricist: गायक / Singer(s): गुलजार-(Gulzar)बस एक ही सुर में, एक ही लय में सुबह से देख-देख कैसे बरस रहा है उदास पानी फुहार के मलमली दुपट्टे से उड़ रहे हैं तमाम मौसम टपक रहा है पलक-पलक रिस रही है ये कायनात सारी हर एक शय भीग-भीग कर कैसी बोझल सी हो गयी है दिमाग की गीली-गीली सोचों से भीगी-भीगी उदास यादें टपक रही हैं थके-थके से बदन में बस धीरे-धीरे साँसों का गरम दूबन(?) चल रहा है
bas ek hii sur me.n, ek hii lay me.n subah se dekh-dekh kaise baras rahaa hai udaas paanii phuhaar ke malamalii dupaTTe se u.D rahe hai.n tamaam mausam Tapak rahaa hai palak-palak ris rahii hai ye kaayanaat saarii har ek shay bhiig-bhiig kar kaisii bojhal sii ho gayii hai dimaag kii giilii-giilii socho.n se bhiigii-bhiigii udaas yAde.n Tapak rahii hai.n thake-thake se badan me.n bas dhIre-dhIre saa.Nso.n kaa garam duuban(?) chal rahaa hai
कुछ और सुझाव / Related content: