% \startsong \stitle{khat likh de saa.nvariyaa ke naam baabuu}% \film{Aaye Din Bahaar Ke}% \year{1966}% \starring{Dharmendra, Asha Parekh}% \singer{Asha}% \music{Laxmikant-Pyarelal}% \lyrics{Anand Bakshi}% % % Contributor: Anurag Shankar % Transliterator: Anurag Shankar % Credits: Vandana Venkatesan % Editor: Rajiv Shridhar % \printtitle #indian % \threedots ab ke baras bhii biit na jaaye ye saavan kii raate.n dekh le merii ye bechainii aur likh de do baate.n \threedots khat likh de saa.nvariyaa ke naam baabuu kore kaagaz pe likh de salaam baabuu (vo maan jaae.nge, pahachaan jaae.nge kaise hotii hai subah se shaam baabuu ) \- 2 khat likh de \threedots saare vaade nikale jhuuThe saamane ho to koii unase ruuThe le gaI bairan shahar piyaa ko raam kare ki aisii naukarii chhuuTe unhe.n jisane banaayaa gulaam baabuu kore kaagaz pe likh de salaam baabuu vo jaan jaae.nge, pahachaan jaae.nge kaise hotii hai subah se shaam baabuu jab aae.nge sajanaa mere khan khan khanake.nge ka.Nganaa mere paas galI me.n ghar hai merA us din tU bhI AnA a.Nganaa mere kuchh tujhako mai.n dU.NgI InAm bAbU kore kAgaz pe likh de salAm bAbU vo jAn jaae.nge, pahachaan jaae.nge kaise hotii hai subah se shaam baabuu khat likh de \threedots aur bahut kuchh hai likhavaanaa kaise bataa duu.N tujhe tuu begaanaa sharm se aa.Nkhe.n jhuk jaae.ngii dha.Dak uThegaa moraa dil diivaanaa bas aage nahii.n teraa kaam baabuu kore kaagaz pe likh de salaam baabuu vo maan jaae.nge, pahachaan jaae.nge kaise hotii hai subah se shaam baabuu khat likh de \threedots % #endindian \endsong %