% \startsong \stitle{ham tujh se muhabbat kar ke sanam}% \film{Aawaara}% \year{1951}% \starring{Raj Kapoor, Nargis, K N Singh, Prithviraj}% \singer{Mukesh}% \music{Shankar-Jaikishan}% \lyrics{Hasrat}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: Neha Desai % Editor: % \printtitle #indian % ham tujh se muhabbat kar ke sanam rote bhii rahe, ha.Nsate bhii rahe hai dil kii lagii kyaa tujhako khabar ik dard uThaa tharraayii nazar khaamosh the ham is Gam kii qasam rote bhii rahe, ha.Nsate bhii rahe \threedots ye dil jo jalaa ik aag lagii aa.Nsuu jo bahe barasaat huii baadal kii tarah aavaaraa the ham rote bhii rahe, ha.Nsate bhii rahe \threedots % #endindian \endsong %