% \startsong \stitle{aa.Nsuu samajh ke kyo.n mujhe, aa.Nkh se tuune giraa diyaa}% \film{Chhaaya}% \year{1961}% \starring{Sunil Dutt, Asha Parekh}% \singer{Talat}% \music{Salil Choudhary}% \lyrics{Rajinder Krishan}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % U V Ravindra % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % aa.Nsuu samajh ke kyo.n mujhe aa.Nkh se tuune giraa diyaa motii kisii ke pyaar kaa miTTii me.n kyo.n milaa diyaa aa.Nsuu samajh ke kyo.n mujhe naGmaa huu.N kab magar mujhe apane pe koii naaz thaa \-2 gaayaa gayaa huu.N jis pe mai.n TuuTaa huaa vo saaz thaa jis ne sunaa vo ha.Ns diyaa, ha.Ns ke mujhe rulaa diyaa aa.Nsuu samajh ke kyo.N mujhe ... jo naa chaman me.n khil sakaa mai.n vo gariib phuul huu.N jo kuchh bhii huu.N bahaar kii chhoTii sii ek bhuul huu.N jis ne khilaa ke khud mujhe, khud hii mujhe bhulaa diyaa aa.Nsuu samajh ke kyo.n mujhe merii Kataa muaaf mai.n bhuule se aa gayaa yahaa.N varanaa mujhe bhii hai khabar meraa nahii.n hai ye jahaa.N Duub chalaa thaa nii.nd me.n achchhaa kiyaa jagaa diyaa aa.Nsuu samajh ke kyo.n mujhe % #endindian \endsong %