% \startsong \stitle{chaa.Nd chhupaa aur taare Duube raat Gazab kii aaii}% \film{Sohni Mahiwal}% \year{}% \starring{Bharat Bhushan, Nimmi}% \singer{Mahendra Kapoor}% \music{Naushad}% \lyrics{Shakeel}% % % Contributor: Shashikant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Fri Jan 26 1996 % Credits: K Vijay Kumar % Comments: % \printtitle #indian % chaa.Nd chhupaa aur taare Duube raat Gazab kii aaii husn chalaa hai ishq se milane zulm kii badalii chhaaii TuuT pa.Dii hai aa.Ndhii Gam kii, aaj pavan hai paagal kaa.Np rahii hai dharatii saarii, chiikh rahe hai.n baadal duniyaa ke tuufaan hazaaro.n, husn kii ik tanahaaii maut kii naagan aaj kha.Dii hai raah me.n phan phailaaye ja.Ngal\-ja.Ngal naach rahe hai.n shaitaano.n ke saae aaj Kudaa khaamosh hai jaise bhuul gayaa ho Kudaaii ghor a.Ndheraa mushkil raahe.n, kadam\-kadam pe dhokhe aaj mohabbat ruk na sakegii, chaahe Kudaa bhii roke raah\-e\-vafaa me.n piichhe haTanaa, pyaar kii hai rusvaaii paar nadii ke yaar kaa Deraa, aaj milan hai teraa o.Dh le tuu leharo.n kii chunarii baa.Ndh le mauj kaa seharaa Dole me.n ma.Njhadhaar ke hogii aaj terii vidaaii Duub ke in uu.Nchii leharo.n me.n naiyyaa paar lagaa le ulfat ke tuufaan me.n zindaa rahate hai.n marane vaale jiite-jii sa.nsaar me.n kisane pyaar kii ma.nzil paayii tere dil ke khuun se hogaa laal chenaab kaa paanii duniyaa kii taariikh me.n likhii jaayegii yeh qurbaanii sohanii aur mahivaal ne apanii ishq me.n jaan ga.Nvaayii ## coda : Lata, Rafi ## hamaare pyaar ke kisse sunaaye jaayenge yeh giit saare zamaane me.n gaaye jaayenge ham na ho.nge fasaana hogaa (2) aane vaale ko aanaa hogaa, jaane vaale ko jaanaa hogaa % #endindian \endsong %