% \startsong \stitle{beraham aasamaa.N merii ma.nzil bataa hai kahaa.N}% \film{Bahana}% \year{1951}% \starring{}% \singer{Talat}% \music{Madan Mohan}% \lyrics{Rajinder Krishan}% % % Contributor: Vijay Kumar % Transliterator: Vijay Kumar % Credits: % Comments: % \printtitle #indian % beraham aasamaa.N merii ma.nzil bataa hai kahaa.N mujhase qisamat ne dhokhaa kiyaa har qadam pe nayaa Gam diyaa hai khushii kii qasam ki yahaa.N chain kaa saa.Ns tak na liyaa bujh gayaa dil meraa raas aayaa na teraa jahaa.N beraham aasamaa.N \threedots terii duniyaa.N me.n yuu.N ham jiye aa.Nsu_o.n ke samundar piye dil me.n shiqave ta.Dapate rahe ho.nTh lekin hameshaa siye kab talaq ham rahe.n terii duniyaa.N me.n yuu.N bezubaa.N beraham aasamaa.N \threedots ab koii bhii tamannaa nahii.n ab yahaa.N ham ko jiinaa nahii.n zi.ndagii ab tere jaam se ek qataraa bhii piinaa nahii.n maut ko bhej ke khatm kar de merii dastaa.N beraham aasamaa.N \threedots % #endindian \endsong %