% \startsong \stitle{vo parii kahaa.N se laa_uu.N, terii dulhan jise banaa_uu.N}% \film{Pehchaan}% \year{1969}% \starring{Manoj Kumar}% \singer{Suman Kalyanpur, Sharda, Mukesh}% \music{Shankar-Jaikishan}% \lyrics{Varma Malik}% % % Contributor: Dr. Mandar % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: % Editor: % \printtitle #indian % vo parii kahaa.N se laa_uu.N terii dulhan jise banaa_uu.N ki gorii koii pasand na aaye tujhako ki chhorii koii pasand na aaye tujhako ye to merii hai sahelii, dilavaalii alabelii jaise motiyaa chamelii, jaise pyaar kii havelii solah saal kii umar, kokaa\-kolaa sii kamar rattii bhar bhii qasar kahii.n aaye na nazar kuchh huaa hai asar? gol juu.De me.n ye venii, aur venii me.n ye Tahanii kaise juu.Diyo.n se pe.D ugaaye ye ga.ngaaraam ke samajh me.n na aaye vo parii kahaa.N se laa_uu.N \threedots aa.Nkh jisakii hai billii naam usakaa hai lillii aise kajare kii dhaar, jaise tiikhii talavaar dekh ho.nTho.n kaa ye ra.ng chalane kaa Dha.ng kaTe a.ngrezii baal, baa.Ndhaa resham kaa rumaal bolo kyaa hai khayaal? ise jab liyaa taq meraa dil huaa faq chhorii ho ke hajaamat karaaye ye ga.ngaaraam ke samajh me.n na aaye vo parii kahaa.N se laa_uu.N \threedots % #endindian \endsong %