% \startsong \stitle{bas yahii aparaadh mai.n har baar karataa huu.N}% \film{Pehchaan}% \year{1970}% \starring{Manoj Kumar, Babita}% \singer{Mukesh}% \music{Shankar-Jaikishan}% \lyrics{Neeraj}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: % \printtitle #indian % bas yahii aparaadh mai.n har baar karataa huu.N aadamii huu.N aadamii se pyaar karataa huu.N ek khilaunaa ban gayaa duniyaa ke mele me.n koii khele bhii.D me.n koii akele me.n muskuraa kar bhe.nT har sviikaar karataa huu.N aadamii huu.N aadamii se pyaar karataa huu.N \threedots mai.n basaanaa chaahataa huu.N svarg dharatii par aadamii jis me.n rahe bas aadamii banakar us nagar kii har galii taiyyaar karataa huu.N aadamii huu.N aadamii se pyaar karataa huu.N \threedots huu.N bahut naadaan karataa huu.N ye naadaanii bech kar khushiyaa.N khariiduu.N aa.Nkh kaa paanii haath khaalii hai.n magar vyaapaar karataa huu.N aadamii huu.N aadamii se pyaar karataa huu.N \threedots % #endindian \endsong %