% \startsong \stitle{khushiyaa.N hii khushiyaa.N ho.n daaman me.n jisake}% \film{Dulhan Wahi Jo Piya Man Bhaye}% \year{1977}% \starring{Rameshwari, Prem Kishan}% \singer{Yesudas, Hemlata, Banashri Sengupta}% \music{Ravindra Jain}% \lyrics{Ravindra Jain}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: % Editor: % \printtitle #indian % khushiyaa.N hii khushiyaa.N ho daaman me.n jisake kyo.n na khushii se vo diivaanaa ho jaaye aise mubaarak mauke pe saathii pesh duaao.n kaa nazaraanaa ho jaaye khushiyaa.N hii khushiyaa.N ho \threedots der se samajhaa hamako zamaanaa shukr karo ki samajh to gayaa sa.ng rahane kaa Kvaab suhaanaa ban ke haqiikat saj to gayaa tum jo kaho to mahafil se kah de tum jo kaho to saarii mahafil se kah de pal bhar me.n mashahuur afasaanaa ho jaaye khushiyaa.N hii khushiyaa.N ho \threedots koii kyaa jaane ham ne kyaa kyaa khel rachaaye tumhaare liye ham bhii kaisii kaisii ma.nzil chho.D ke aaye tumhaare liye kaliyaa.N hii kaliyaa.N mahakaa do aise ki aabaad dil kaa ye viiraanaa ho jaaye khushiyaa.N hii khushiyaa.N ho \threedots ha.Ns ke hamarii har bhuul bhulaa denaa ham hai.n tumhare jab chaaho bulaa lenaa apano.n kii is mahafil me.n ab kaam nahii.n hai begaano.n kaa ye duniyaa kyaa mol karegii ik mufalis ke aramaano.n kaa itanii sii hai bas apanii tamannaa terii khushii se dil paravaanaa ho jaaye khushiyaa.N hii khushiyaa.N ho \threedots % #endindian \endsong %