% \startsong \stitle{javaan tum ho, javaan ham hai.n}% \film{Duniya}% \year{1968}% \starring{}% \singer{Rafi}% \music{Shankar-Jaikishan}% \lyrics{Hasrat}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: % Editor: % \printtitle #indian % javaan tum ho, javaan ham hai.n ye pyaar tum se ho gayaa hai milan kaa ik pal, Gazab khudaa kaa jigar me.n nashtar chubh gayaa hai ye gam.r retii ye paa.Nv naazuk ajii na jaao, pa.De.nge chhaale merii ummiido.n kaa tum ho suuraj tumhaare dam se hai.n ye ujaale javaan tum ho \threedots vo ThaNDii laharo.n me.n kab hai ThaNDak jo mere siine kii aag me.n hai vo giit maujo.n me.n kab milegaa jo mere saa.Nso.n ke raag me.n hai javaan tum ho \threedots na aage jaao, hai gaharaa paanii phir usape sholaa hai ye javaanii tumhare tapate hue badan se lagegeii jal me.n agan suhaanii javaan tum ho \threedots % #endindian \endsong %