% \startsong \stitle{vatan kii raah me.n vatan ke naujavaa.n shahiid ho}% \film{Shaheed}% \year{}% \starring{}% \singer{Rafi, Mastan}% \music{Ghulam Haider}% \lyrics{Raja Mehdi Ali Khan}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Editor: % \printtitle #indian % vatan kii raah me.n vatan ke naujavaa.n shahiid ho pukaarate hai.n ye zamiin\-o\-aasamaa.n shahiid ho shahiid terii maut hii tere vatan kii zi.ndagii tere lahuu se jaag uThegii is chaman me.n zi.ndagii khile.nge phuul us jagah ki tuu jahaa.N shahiid ho, vatan kii \threedots gulaam uTh vatan ke dushmano.n se i.ntaqaam le in apane dono.n baajuo.n se kha.njaro.n kaa kaam le chaman ke vaaste chaman ke baaGabaa.n shahiid ho, vatan kii \threedots pahaa.D tak bhii kaa.npane lage tere junuun se tuu aasamaa.n pe inqalaab likh de apane khuun se zamii.n nahii.n teraa vatan hai aasamaa.n shahiid ho, vatan kii \threedots vatan kii laaj jisako thii ajiiz apanii jaan se vo naujavaan jaa rahaa hai aaj kitanii shaan se is ek javaan kii khaak par har ik javaa.n shahiid ho vatan kii \threedots hai kaun khushanasiib maa.N ki jisakaa ye chiraaG hai vo khushanasiib hai kahaa.N ye jisake sar kaa taaj hai amar vo desh kyuu.N na ho ki tuu jahaa.N shahiid ho, vatan kii \threedots % #endindian \endsong %