% \startsong \stitle{tum aa gaye ho, nuur aa gayaa hai}% \film{Aandhi}% \year{}% \starring{Sanjeev Kumar, Raakhi}% \singer{Kishore, Lata}% \music{R D Burman}% \lyrics{Gulzar}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Rajan P. Parrikar (parrikar@mimicad.Colorado.EDU) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % kishor: tum aa gae ho nuur aa gayaa hai \- 2 nahii.n to charaaGo.n se lau jaa rahii thii lataa: jiine ki tumase vajah mil gaI hai ba.Dii bevajah zi.ndagii jaa rahii thii kishor: tum aa gae ho nuur aa gayaa hai kishor: kahaa.N se chale kahaa.N ke liye ye khabar nahii.n thii magar koi bhii siraa jahaa.N jaa milaa vahii.n tum miloge ke ham tak tumhaarii duaa aa rahii thii tum aa gaye ho nuur aa gayaa hai.n lataa: nahii.n to charaaGo.n se lau jaa rahii thii tum aa gae ho nuur aa gayaa hai.n lataa: din Duubaa nahii.n raat Duubii nahii.n jaane kaisaa hai safar Kvaabo.n ke diye aa.Nkho.n me.n liye vahii.n aa rahe the jahaa.N se tumhaarii sadaa aa rahii thii tum aa gaye ho nuur aa gayaa hai.n nahii.n to charaago.n se lau jaa rahii thii % #endindian \endsong %