% \startsong \stitle{saalaa mai.n to saahab ban gayaa}% \film{Sagina}% \year{}% \starring{Dilip Kumar, Om Prakash}% \singer{Kishore, Pankaj Mitra}% \music{S D Burman}% \lyrics{Majrooh}% % % Contributor: Arun Verma (verma@cs.cornell.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Sun Aug 6 1995 % Credits: Neeraj Malhotra (malhotra@bedford.progress.COM) % % Editor: % Comments: % \printtitle #indian % kishor: ( saalaa mai.n to saahab ban gayaa are, saalaa mai.n to to saahab ban gayaa, hai.n re, saahab banake kaisaa tan gayaa ye buuT meraa dekho, ye suuT meraa dekho jaisaa goraa koii lanaDhan kaa, haa! ) \-2 pa.nkaj: vaah fakiire! vaah fakiire! vaah fakiire, suuT pahanakar kaisaa kuude phaa.Nde kavva jaise pa.Nkh mayuur ke apanii dum me.n baa.Ndhe kishor: apanii dum me.n baa.Ndhe !? kyaa jaano hum is bhejaa me.n kyaa\-kyaa nakshaa khii.nchaa \-2 liiDar log kii uu.Nchii baate.n, kyaa samajhe tum niichaa haa.N, kyaa samajhe tum niichaa? meraa vo jaahilapan gayaa! ##ATTENTION!## saalaa mai.n to \threedots pa.nkaj: suurat hai bandar kii phir bhii lagatii hai alabelii \-2 kaisaa raajaa bhoj banaa hai meraa ga.Nguu telii kishor: teraa ga.Nguu telii !? tum la.ngoTii\-vaalaa na badalaa mai.n na badalegaa tum sab saalaa log kaa kismat, ham saalaa badalegaa ham saalaa badalegaa haa.N, ham saalaa badalegaa haa \threedots (khaa.nstaa hai) siinaa dekho kaisaa tan gayaa !! haa haa haa \threedots (ha.Nsate hu_e) saalaa mai.n to \threedots % #endindian \endsong %