% \startsong \stitle{maulaa saliim chishtii, aaqaa saliim chishtii}% \film{Garm Hawa}% \year{1973}% \starring{Balraj Sahni, Farouk Shaikh, Jalal Agha, Geeta}% \singer{Aziz Ahmed Khan Warsi}% \music{Aziz Ahmed Khan Warsi}% \lyrics{Kaifi Azmi}% % % Contributor: % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: Overall music direction for the FILM was by sarod maestro % Ustad Bahadur Khan % \printtitle #indian % suukhii rut me.n chhaaii badariyaa, chamakii bijuriyaa saath Duubo tum bhii sa.ng mere, yaa thaamo meraa haath maulaa saliim chishtii, aaqaa saliim chishtii \-2 aabaad kar do dil kii duniyaa saliim chishtii \-2 jitanii balaaye.n aaii, sab ko gale lagaayaa \-2 khuu.N ho gayaa kalejaa, shikavaa na lab pe aayaa \-2 har dard ham ne apanaa, apane se bhii chhupaayaa har dard ham ne apanaa, haa har dard ham ne apanaa, apane se bhii chhupaayaa \-2 tum se nahii.n hai koii pardaa saliim chishtii maulaa saliim chishtii \threedots jaaegaa kaun aake, pyaasaa tumhaare dar se \-2 kuchh jaam se piie.nge, kuchh maharbaa.n nazar se \-2 kuchh jaam se piie.nge, haa kuchh jaam se piie.nge, kuchh maharbaa.n nazar se \-2 ek pyaalii bhar ke de saaqii mai\-e\-gulafaam kii ek apane naam pii, aur ek allaah naam pii meT de puurii merii hasarat dil\-e\-naakaam kii dede dede dard me.n koii suurat aaraam kii ghuu.NT hii pilaa magar josh\-e\-tamannaa Daal kar ek qataraa de magar qatare me.n dariyaa Daal kar kuchh jaam se piie.nge, kuchh maharbaa.n nazar se \threedots ye sa.ng\-e\-dar tumhaaraa, to.De.nge apane sar se \-2 ye sa.ng\-e\-dar tumhaaraa, haa ye sa.ng\-e\-dar tumhaaraa, to.De.nge apane sar se \-2 ye dil agar tumhaaraa TuuTaa saliim chishtii \-2 maulaa saliim chishtii \threedots is sa.ng\-e\-dar ke sadaqe, is rahaguzar ke sadaqe bhaTake hue musaafir, ma.nzil pe pahu.nche aaKir uja.De hue chaman me.n, ye ra.Ng\-e\-pairahan me.n sau ra.Ng muskuraae, sau phuul lailahaae aaii na_ii bahaare.n, pahalane lagii phuaare.n Ghuu.NghaT kii laaj rakhanaa, is sar pe taaj rakhanaa is sar pe taaj rakhanaa aaqaa saliim chishtii, maulaa saliim chishtii \threedots % #endindian \endsong %