% \startsong \stitle{kahaa.N le chale ho bataado musaafir}% \film{Durgesh Nandini}% \starring{Bina Roy, Pradeep Kumar and Nalini Jaywant}% \singer{Lata}% \music{Hemant}% \lyrics{Rajinder Krishan}% % % Contributor: Preeti Ranjan Panda (ppanda@du.ICS.UCI.EDU) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % Credits: Neha Desai % \printtitle #indian % kahaa.N le chale ho bataado musaafir sitaaro.n se aage ye kaisaa jahaa.N hai khayaalo.n kii ma.njil ye khvaabo.n kii mahafil samajh me.n nA aaye ye duniyaa kahaa.N hai kahaa.N rah gaye qaafile.n baadalo.n ke zamiin chhup gayii hai tale baadalo.n ke hai mujhako yaqii.n ke hai jannat vahii.n ye ajab sI fizaa hai, ajab ye samaa hai kahaa.N le chale ho nazar kii duA kA javaab aa rahaa hai merI aarazuu pe shabaab aa rahaa hai ye khAmoshiyaa.n bhI hai.n ik daastaa.n koI kahatA hai mujhase mohabbat javaa.n hai kahaa.N le chale ho muhabbat bharii is jahaa.N kii hai.n raahe.n jinhe.n dekhakar kho gayii hai.n nigaahe.n ye halakii havaa laayii kaisaa nashaa, na rahaa hosh itana meraa dil kahaa.N hai kahaa.N le chale ho % #endindian \endsong %