% \startsong \stitle{us mast nazar pe pa.Dii jo nazar}% \film{Parwaana}% \year{1947}% \starring{Saigal, Suraiya}% \singer{Saigal}% \music{Khemchand Prakash}% \lyrics{}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: % \printtitle #indian % us mast nazar pe pa.Dii jo nazar kajare ne kahaa mat dekho idhar mai.n ne kahaa mai.n to dekhuu.Ngaa kajare na kahaa dekho jii magar ai jii ulajh na jaanaa kahii.n ulajh na jaanaa kahii.n ulajh na jaanaa dekho jii kahii.n ulajh na jaanaa sundar mukha.Daa nain suhaane joban ke dvaar pe jaise kha.De ho.n do mastaane bharii nazar se dekhaa kisii ne bole paas nahii.n aanaa kahii.n ulajh na jaanaa kajare kii jorii ha.Nse chorii chorii jaaduu nazar kaa chalaa ke nazar ke sahaare adaa_o.n ke maare zulfon kaa jaal bichhaa ke dekh ke haath ba.Dhaanaa kahii.n ulajh na jaanaa % #endindian \endsong %