% \startsong \stitle{baabul kaa ye ghar gorii, bas kuchh din kaa Thikaanaa hai}% \film{Daata}% \year{1989}% \starring{Mithun Chakraborty, Farha, Arjun, Shammi Kapoor, Saeed Jafari, Tanvi Azmi, Aasha Sharma}% \singer{Alka Yagnik, Kishore}% \music{Kalyanji-Anandji}% \lyrics{Anjaan}% % % Contributor: Beena (bagarwal@uceng.uc.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Credits: % Editor: % \printtitle #indian % saathii: baabul kaa ye ghar gorii bas kuchh din kaa Thikaanaa hai dulhan banake tujhe piyaa ghar jaanaa hai dulhan: baapuu tere aa.Ngan kii mai.n to khilatii kalii huu.N is aa.Ngan ko chho.D kyo.n kisii aur kaa ghar sajaanaa hai pitaa: beTii baabul ke ghar me.n kisii aur kii amaanat hai dastuur ye duniyaa kaa ham sab ko nibhaanaa hai saathii: dastuur ye duniyaa kaa ham sab ko nibhaanaa hai \threedots dulhan: maiyaa tere aa.Nchal kii mai.n to ek gu.Diyaa huu.N phir kyo.n is aa.Nchal ko chho.D teraa ghar bhii begaanaa hai ## (Mother in tears and unable to speak anything) ## ## (this is the most emotional verse I think) ## bhaaii: maa.N ke dil pe kyaa guzare bahanaa tuu ye mat puuchh kaleje ke Tuka.De ko ro ro kar bhulAnaa hai dulhan: bhaiyaa tere baaG kii mai.n kaisii chi.Diyaa re raat bhar kaa baseraa hai subah u.D jaanaa hai bhaaii: bahanaa tere bachapan kii yaade.n ham sab ko sataaye.ngii phir bhii terii Dolii ko kaa.Ndhaa to lagaanaa hai % #endindian \endsong %