% \startsong \stitle{ek hii Kvaab ka_ii baar dekhaa hai mai.n ne}% \film{Kinaara}% \year{1977}% \starring{Hema Malini, Jeetendra}% \singer{Bhupinder, Hema Malini}% \music{R D Burman}% \lyrics{Gulzar}% % % Contributor: Rakesh Modi % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: % Editor: % \printtitle #indian % bhupindar: ek hii Kvaab ka_ii baar dekhaa hai mai.n ne tuune saa.Dii me.n u.Das lii hai merii chaabhiyaa.N ghar kii aur chalii aayii hai bas yuu.Nhii meraa haath paka.D kar ek hii Kvaab ka_ii baar \threedots Tiku? mez par phuul sajaate hue dekhaa hai ka_ii baar aur bistar se ka_ii baar jagaayaa hai tujhako chalate phirate tere kadamo.n kii voh aahaT bhii sunii hai hu.N? ek hii Kvaab ka_ii baar \threedots kyo.n? chiTThii hai yaa kavitaa? hemaa: abhii tak to kavitaa hai laa la laa la hmmmmm bhupindar: gunagunaatii hu_ii nikalii hai nahaa kar jab bhii ## Laughs ## aur? apane bhiige hue baalo.n se Tapakataa paanii mere chehare pe chhiTak detii hai tuu Tiku kii bachchii ek hii Kvaab ka_ii baar \threedots taash ke patto.n pe la.Datii hai kabhii kabhii khel me.n mujhase aur kabhii la.Datii bhii hai aise ke bas khel rahii hai mujhse aur aaGosh me.n nanhe ko liye hemaa: ## Will you shut up? ## dono.n: laa la la laa \threedots ## Both Laugh ## bhupindar: aur jaanatii ho Tiku, jab tumhaaraa ye Kvaab dekhaa thaa, apane bistar pe mai.n us vaqt pa.Daa jaag rahaa thaa % #endindian \endsong %