% \startsong \stitle{ye baate.n jhuuThii baate.n hai.n}% \film{non-Film}% \year{}% \starring{}% \singer{Ghulam Ali}% \music{}% \lyrics{Ibn-e-Inshaa}% % % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % ye baate.n jhuuThii baate.n hai.n ye logo.n ne phailaaI hai.n tum inshaa jii kaa naam nA lo \- 2 kyA inshaa jii saudaaii hai.n ye baate.n \threedots hai.n laakho.n rog zamaane me.n kyo.n ishq hai rusavaa bechaaraa hai.n aur bhii vajahe.n vahashat kii insaa.n ko rakhatii dukhiyaaraa haa.n bekal bekal rahata hai vo priit me.n jisane dil haaraa par shaam se leke subaho.n talak yuu.n kaun kha.De hai aavaaraa ye baate.n \threedots gar ishq kiyaa hai tab kyaa hai kyo.n saaj nahii aavaaj nahii.n jo jaan liye bin Tal naa sake ye aisii bhii ustaad nahii.n ye baat to tum bhii maanoge vo kaish nahii.n farahaa nahii.n kyA hibra kaa daaru mushkil hai kyA fasl kii mushte yaad nahii.n ye baate.n \threedots jo hamase kaho ham karate hai.n kyA insaa.n ko samajhanaa hai us la.Dakii se bhii kah le.nge go ab kuchh aur zamanaa hai yA chho.De yA tasalIm kare.n ????? ye kaisaa gorakh dha.ndhaa hai ye kaisaa taanaa baanaa hai ye baate.n \threedots % #endindian \endsong %