% \startsong \stitle{tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa}% \film{Khandaan}% \year{}% \starring{Nutan, Sunil Dutt, Om Prakash}% \singer{Lata}% \music{Ravi}% \lyrics{Rajinder Krishan}% % % Contributor: David Anthony Windsor % Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 08/09/1996 % Credits: Rahul Shridhar % \printtitle #indian % tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa, tumhii.n devataa ho koii merii aa.Nkho.n se dekhe to samajhe, ki tum mere kyaa ho tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa, tumhii.n devataa ho jidhar dekhatii huu.N udhar tum hii tum ho na jaane magar kin khayaalo.n me.n gum ho mujhe dekhakar tum zaraa muskuraa do nahii.n to mai.n samajhuu.Ngii, mujhase Kafaa ho tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa, tumhii.n devataa ho tumhii.n mere maathe kii bi.ndiyaa kii jhil\-mil tumhii.n mere haatho.n ke gajaro.n kii ma.nzil mai.n huu.N ek chhoTii\-sii maaTii kii gu.Diyaa tumhii.n praaN mere, tumhii.n aatmaa ho tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa, tumhii.n devataa ho bahut raat biitii chalo mai.n sulaa duu.N pavan chhe.De sargam mai.n lorii sunaa duu.N tumhe.n dekhakar yah Kayaal aa rahaa hai ki jaise farishtaa koii so rahaa hai tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa, tumhii.n devataa ho % #endindian \endsong %