% \startsong \stitle{Tuka.De hai.n mere dil ke, ai yaar tere aa.Nsuu}% \film{Mere Sanam}% \year{1965}% \starring{Biswajeet, Asha Parekh, Mumtaz}% \singer{Rafi}% \music{O P Nayyar}% \lyrics{Majrooh}% % % Contributor: Shashikant Joshi urf pintu diwana (rava0002@gold.tc.umn.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [30] 14 May 1995 % when I saw Mere Sanam (long back) I didn't like this song, too % slow, and I didn't appreciate much of the words, too simple? % don't know. Maybe amidst all happy songs, this didn't fit in? % Now, when I listened to it, it sounded good. % Maybe my taste was already spoiled by the great 'teri aaNkh ke % aaNsoo pee jaa-ooN' :-)) % \printtitle #indian % (Tuka.De hai.n mere dil ke, e yaar tere aa.Nsuu dekhe nahii.n jaate hai.n, diladaar tere aa.Nsuu ) \- 2 katare nahii.n chhalake ye, aa.Nkho.n ke piyaalo.n se motii hai.n muhobbat ke, in phuul se gaalo.n pe, in phuul bahane nahii.n duu.ngaa bekaar tere aa.Nsuu dekhe nahii.n jaate ashko.n se bharaa dekhuu.N kaise terii aa.Nkho.n ko ai jaan ye sulagataa Gam, de de merii aa.Nkho.n ko, de de merii palako.n pe uThaa luu.ngaa, sau baar tere aa.Nsuu dekhe nahii.n jaate % #endindian \endsong %