% \startsong \stitle{aavaaz dii hai aaj ik nazar ne, yaa hai ye dil ko gumaa.N}% \film{Aitbaar}% \year{1985}% \starring{Raaj Babbar, Dimpal Kapadia, Suresh Oberoi}% \singer{Asha, Bhupinder}% \music{Bappi Lahiri}% \lyrics{Hasan Kamaal}% % % Contributor: % Transliterator: % Credits: Amit N. Agarwal (agarwal@stjames.stanford.edu) % Editor: % \printtitle #indian % bhuu: aavaaz dii hai aaj ik nazar ne yaa hai ye dil ko gumaa.N doharaa rahii.n hai.n jaise fazaaye.n bhuulii huii daastaa.N \- 2 aa: lauT aayii hai.n phir ruuThii bahaare.n kitanaa hasiin hai samaa duniyaa se kah do na ham ko pukaare ham kho gaye hai.n yahaa.N \- 2 bhuu: jiivan me.n kitanii viiraaniyaa.N thii chhaayii thii kaisii udaasii sunakar kisii ke kadamo.n kii aahaT halachal huii hai zaraa sii \- 2 saagar me.n jaise lahare.n uThii.n hai.n TuuTii hai.n khaamoshiyaa.N doharaa rahii.n hai.n jaise fazaaye.n bhuulii huii daastaa.N aa : tuufaan me.n khoii kashtii ko aakhir mil hii gayaa phir kinaaraa ham chho.D aaye Kaabo.n kii duniyaa dil ne tere jab pukaaraa \- 2 kabase kha.Dii thii baahe.n pasaare is dil kii tanhaaiyaa.N duniyaa se kah do na ham ko pukaare ham kho gaye hai.n yahaa.N bhuu: ab yaad aayaa kitanaa adhuuraa ab tak thaa dil kaa fasaanaa aa: yuu.N paas aake dil me.n samaake daaman na hamase chhu.Daanaa \- 2 aa: jin raasto.n par tere kadam ho.n ma.njil hai merii vahaa.N duniyaa se kah do na ham ko pukaare ham kho gaye hai.n yahaa.N lauT aayii hai.n phir ruuThii bahaare.n kitanaa hasiin hai samaa.N duniyaa se kah do na ham ko pukaare ham kho gaye hai.n yahaa.N % #endindian \endsong %